Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum To Pehle Hi Nazar Me
|
Mohammed Rafi | Ravi | ||||
Apna Banake Dekho (1963) | Asad Bhopali | ||||||
hum to pahli hi najar me
de chuke hai dil tumhe
hum to pahli hi najar me
de chuke hai dil tumhe
pyar karte hai
samajh kar pyar ke kaabil tumhe
hum to pahli hi najar me
de chuke hai dil tumhe
isse badhkar aur kya karte tumhare vaaste
isse badhkar aur kya karte tumhare vaaste
hum ne apni zindagi me
kar liya shamil tumhe
hum to pahli hi najar me
de chuke hai dil tumhe
raahe ulfat me humari jaan bhi jaye to kya
raahe ulfat me humari jaan bhi jaye to kya
kuch bhi ho karke rahenge
ek din haasil tumhe
hum to pahli hi najar me
de chuke hai dil tumhe
humko tanha chhod kar
jane se pahle soch lo
humko tanha chhod kar
jane se pahle soch lo
do kadam chalna na ho jaye
kahin mushkil tumhe
hum to pahli hi najar me
de chuke hai dil tumhe
pyar karte hai
samajh kar pyar ke kaabil tumhe
hum to pahli hi najar me
de chuke hai dil tumhe