Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum Teeno Ki Woh Yari Do Lakho Pe Hai Bhari
|
Nitin Mukesh, Kishore Kumar, Mohammed Rafi | Kalyanji Anandji | Shashi Kapoor, Jeetendra, Rakesh Roshan | |||
Neeyat (1980) | Gulshan Bawra | Friendship Songs | |||||
hum tino ki wo yari do lakho pe hai bhari
jan le duniya ye sari hota hai kya yarana
ye jane wo diwana jisne sikha yaar ki khatir
hanste hanste mar jana hota hai kya yarana
ye jane wo diwana jisne sikha yaar ki khatir
hanste hanste mar jana
kabhi na kabhi to gardish me sabke sitare aate hai
yaar wo sache hote hai jo aise me sath nibhate hai
hum bhi sath nibhayenge yari me lut jayenge yaro pe
mit jayenge hota hai kya yarana ye jane wo diwana
jisne sikha yaar ki khatir hanste hanste mar jana
aur sabhi hai khun ke rishte yari dilo ka rishta hota hai
jo ye rishta samjh gaya wo insan pharishta hai
dil walo ka nara hai matwalo ka ishara hai
yaar jaan se pyara hai hota hai kya yarana
ye jane wo diwana jisne sikha yaar ki khatir
hanste hanste mar jana
jiski niyat achi ho usi ko sache yaar mile
warna to is duniya ke gulshan me khair hi khair mile
bandhu apna to ye kahna hai hardam milke rahna hai
har gam milke sahna hai hota hai kya yarana
ye jane wo diwana jisne sikha yaar ki khatir
hanste hanste mar jana hum tino ki wo yari
do lakho pe hai bhari jan le duniya ye sari
hota hai kya yarana ye jane wo diwana
jisne sikha yaar ki khatir hanste hanste mar jana