Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum Pale Hai Tufan Ke
|
Mohammed Aziz | Sonik Omi | ||||
Rakhwale (1994) | Kulwant Jani | ||||||
hum paale hai tufan ke
rakhwale desh ki aan ke
hum paale hai tufan ke
rakhwale desh ki aan ke
isiliye kahlate hai hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
ye ram rahim ka bharat hai
ye krishan karim ka bharat hai
majhab hai juda imaan wahi
sau bhesh magar insaan wahi
jinhe jaan se pyari aan nahi
aur jinse desh ki shan rahi
ye desh hai un jabajo ka
arjun se teerandajo ka
hum banke nishan dikhayenge
un veero ki santan ke
isiliye kahlate hai hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
ye desh hai gautam gandhi ka
ye desh hai nanak tulsi ka
shivaji subhash jawahar ka
ye desh hai laal bahadur ka
kashmir se kanyakumari tak
kitne hi chaman is desh ke hai
sukhdev bhagat singh rajguru
anmol ratan is desh ke hai
jo kahte hai kar dete hai
pakke bade hai juban ke
isiliye kahlate hai hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
barud ko noto me bharkar
kheti jo kare hathiyaro ki
us dushman ko chetavani hai
is desh ke pahredaro ki
bharat ke jawa budhe bacche
bedaar bhi hai hoshiyar bhi hai
bharat ki aan pe aaj sabhi
mar mitne ko taiyaar bhi hai
hum unke dushman hai jani
jo dushman hai insaan ke
isiliye kahlate hai hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
hum paale hai tufan ke
rakhwale desh ki aan ke
hum paale hai tufan ke
rakhwale desh ki aan ke
isiliye kahlate hai hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke
bete hindustan ke hum bete hindustan ke