Lyrics of Hum Log Hai Aise Dewane Duniya Ko Jhuka Kar Maanenge - हम लोग है ऐसे दीवाने, दुनिया को झुका कर मानेंगे
hum log hai aise diwane, duniya ko jhuka kar manenge

manjil ki dhun me aaye hai, manjil ko pa kar manenge

jo mang hai apni puri ho, us vakt tasli payenge
aise to nahi talne wale, hum bhuke hi mar jayenge
hum bhuke hi mar jayenge
iss dil me hazaro mauje hai, tufan utha kar manenge
hum log hai aise diwane, duniya ko jhuka kar manenge
do din ki bahare hai jag me, kab julm kisi ka chalta hai
ye julm ka suraj lakh jale, par sham ko lekin dhalta hai
par sham ko lekin dhalta hai
nafrat ke shole dil me hai, hum unko bhuja kar manenge
hum log hai aise diwane, duniya ko jhuka kar manenge
sachai ki khatir duniya me, gandhi ne bhi goli khayi hai
hinsa chadaya suli par, sacho ne jaan gavayi hai
sacho ne jaan gavayi hai
aa hum bhi kisi se kam nahi, taqdir jaga kar manenge