Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum Duniya Me Aazad Rahenge
|
Shafi M Nagri | |||||
Baghdad Ka Jadu (1956) | Preetam Dehlvi | ||||||
hum duniya me aazad rahenge
hum duniya me aazad rahenge
ya ladkar mar jaayenge
dushman ki taaqat se darkar
dushman ki taaqat se darkar
dushman ki taaqat se darkar
sar kabhi naa jhukaayenge
hum duniya me aazad rahenge
aazaadi ka naara hai ye saamne
gaddaro ke
aazaadi ka naara hai ye saamne
gaddaro ke
roke se hum ruk nahi sakte
dushman ki talwaaro se
roke se hum ruk nahi sakte
dushman ki talwaaro se
tufaano se takkar lenge
tufaano se takkar lenge aage badhte jaayenge
hum duniya me aazad rahenge
jaalim ko apni himmat se
nicha aaj dikhaana hai
jaalim ko apni himmat se
nicha aaj dikhaana hai
julmo sitam ki deewaaro se
apna sar takaraana hai
julmo sitam ki deewaaro se
apna sar takaraana hai
apne haatho me hum apni
apne haatho me hum apni
bigadi aaj banaayenge
hum duniya me aazad rahenge
aazadi ki kimat ho agar
jaan khushi se de dena
aazadi ki kimat ho agar
jaan khushi se de dena
sone ke angaare agar ho
saath gulaami na lena
sone ke angaare agar ho
saath gulaami na lena
aane waali duniya ko
aane waali duniya ko aise jeena sikhalaayenge
hum duniya me aazad rahenge
chaahe jamaana saath na de apni manjil par jaayenge
raste ki har mushkil ko ab khaatir me naa laayenge
raste ki har mushkil ko ab khaatir me naa laayenge
jinda rahane ki khatir ab
jinda rahane ki khatir ab maut se hum takaraayenge
hum duniya me aazad rahenge
hum duniya me aazad rahenge
ya ladkar mar jaayenge
dushman ki taaqat se darkar
sar kabhi naa jhukaayenge
hum duniya me aazad rahenge