Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum Dil Apna Tadapayein Kyon
|
Shamshad Begum | Chitragupt | ||||
Manchala (1953) | Raja Mehdi Ali Khan | ||||||
hum dil apna tadapayein kyu
baalam ke vaaste
wo apne raaste chale hum apne raaste
chanda ko jhuka le kadmo pe
hum saro ka dil le le
chanda ko jhuka le kadmo pe
hum saro ka dil le le
kismat ki chanchal lahro me
khud apni naiya khele
apni naiya khele
tufano se ghabraye kyu
are jaye kyu
hum dil apna tadapayein kyu
baalam ke vaaste
wo apne raaste chale hum apne raaste
is dil pe kabhi chhayi na fiza, o o
is dil pe kabhi chhayi na fiza
ye honth sada muskaye
panchhi ki tarah aazad rahe
shakho ki tarah lahraye
shakho ki tarah lahraye
kaliyo ki tarah murjhaye kyu
murjhaye kyu
hum dil apna tadapayein kyu
baalam ke vaaste
wo apne raaste chale hum apne raaste
kah de koi jake baalam se
hum par na kare jafaye
kah de koi jake baalam se
hum par na kare jafaye
majnu ke dil thukrayengi
ab hans hans ke lailaye
hans hans ke lailaye
ro ro ke mare lailaye kyu
gham khaye kyu
hum dil apna tadapayein kyu
baalam ke vaaste
wo apne raaste chale hum apne raaste