Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum Chahe Na Chahe Phir Bhi Kabhi
|
Suman Kalyanpur | Robin Banerjee | ||||
Rustom Kaun (1966) | Yogesh Gaur | ||||||
hum chahe na chahe phir bhi kabhi
wo samne jab aa jate hai
har bar najar jhuk jati hai
har bar kadam ruk jate hai
har bar kadam ruk jate hai
hum chahe na chahe phir bhi kabhi
hum bhul se shayad ulfat ki
baho me chale aaye hai
hum bhul se shayad ulfat ki
baho me chale aaye hai
anjan safar ki anjani
raho me chale aaye hai
ab kya hoga kyunkar hoga
ye soch ke ghabra jate hai
ye soch ke ghabra jate hai
hum chahe na chahe phir bhi kabhi
kya baat hai kyu mere dil ke
jajbaat bikhar jate hai
kya baat hai kyu mere dil ke
jajbaat bikhar jate hai
badle badle se kyu apne
andaz najar aate hai
har aahat par apne dil ki
khud chauk ke balkha jate hai
khud chauk ke balkha jate hai
hum chahe na chahe phir bhi kabhi
ye kaisi anokhi baat hui
uljhan me ulajh jate hai
ye kaisi anokhi baat hui
uljhan me ulajh jate hai
ye uljhan aur ulajhti hai
jitna ise suljhate hai
begane hai wo lekin ab to
hum khud se bhi sharma jate hai
hum khud se bhi sharma jate hai
hum chahe na chahe phir bhi kabhi
wo samne jab aa jate hai
har bar kadam ruk jate hai