Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hua Swayamwar Hui Sayani
|
Lata Mangeshkar | Master Krishnarao | ||||
Keechak Vadh (1959) | Saraswati Kumar Deepak | ||||||
hua swayamwar hui sayani jis din paanchali
kaha drupad ne suno sabha ke raja balshali
ghum rahi khambe par machhali
tel bhara niche
parchhai ko dekh dhanush koi aakar ke khinche
jiska tir lage machhali par uski paanchali
kaha drupad ne suno sabha ke raja balshali
dekh dekh ke rajao ki bhid hui bhari
bhanti bhanti ke yodha aaye raj mukut dhari
bhai ke sang warmala le kar aai paanchali
uski shobha rajsabha me damini si damki
sut putr ke uthate hi wo jwala si chamki
kaha nahi adhikar sabha gunj uthi sari
kaha drupad ne suno sabha ke raja balshali
khoj rahi hirani si aankhe jiwan ka sathi
vipr desh me arjun dekha chamk uthi bati
in aankho ne un aankho ko di amrit pyali
kaha drupad ne suno sabha ke raja balshali
itja dhanujy dhanush uthaya dekhi parchhai dekhi parchhai
matsy bhed ho gaya dawar par gunji shahnai
hua swayamwar hui sayani jis din paanchali
kaha drupad ne suno sabha ke raja balshali