Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hosh Me Tum Bhi
|
Asha Bhosle | C Arjun | ||||
Mangu Dada (1970) | S H Bihari | ||||||
hosh me tum bhi nahi hosh me hum bhi nahi
rang layengi dono ki behoshiya
hosh me tum bhi nahi hosh me hum bhi nahi
rang layengi dono ki behoshiya
is jagah apne shiva dusra koi nahi
bekhudi le chali jane kaha
hosh me tum bhi nahi hosh me hum bhi nahi
aaj ki raat se humko ummid hai
jo bhi chahenge hum aa jayega
raat hai apni magar baat hai uljhi hui
dur hone hi vali hai bechainiya
hosh me tum bhi nahi
jindgi maut se khelti hai jaha
ae mere dil teri manjile hai vaha
sas hai ukhdi hui pav hai jakde huye
fir bhi chai hai charo taraf mastiya
hosh me tum bhi nahi
pi magar is kadar ke nsha bhi na ho
is mulakat ka fir koi gam na ho
julf ke saye tale jhumte sagar chale
mahfile aaj ki aur bhi ho jwa
hosh me tum bhi nahi hosh me hum bhi nahi
rang layengi dono ki behoshiya
hosh me tum bhi nahi