Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ho Maine Pyar Kiya, Oye Hoye Kya Zurm Kiya
|
Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan | Padmini | |||
Jis Desh Men Ganga Behti Hai (1960) | Hasrat Jaipuri | Romantic Songs, Sensual Songs | |||||
ho maine pyar kiya oy hoy kya jurm kiya
ho maine pyar kiya oy hoy kya jurm kiya
in aankho ka rang ho gaya gulabi-gulabi
haye haye haye dil ki halat sharabi-sharabi
in aankho ka rang ho gaya gulabi-gulabi
haye haye haye dil ki halat sharabi-sharabi
ho maine pyar kiya
thar-thar man mera kaape aankh meri sharmaye
o gore-gore tan par aaj pasina aaye
haye kaha tak dil sambhalu
tir sa chubha kaise nikalu ho
ho badh gayi aur dil ki betabi-betabi
haye haye haye dil ki halat sharabi-sharabi
in aankho ka rang ho gaya gulabi-gulabi
ho maine pyar kiya
jab-jab unko dekhu aane lage angdayi
jab-jab unko dekhu aane lage angdayi
dhire-dhire aakhir band kali muskayi
dhire-dhire aakhir band kali muskayi
haye karu kya hosh nahi hai
ham kahi aur dil kahi hai ho
ho ban-ban dole umariya shababi-shababi
haye haye haye dil ki halat sharabi-sharabi
in aankho ka rang ho gaya gulabi-gulabi
ho maine pyar kiya
kya hai khataye meri aaj koi batlaye
ho kaun se dil ko toda kaun se dil tadpaye
pyar kiya hai pyar ko janu
aur koi insaf na manu ho
ho pyar ki har ada lajawabi-lajawabi
haye haye haye dil ki halat sharabi-sharabi
in aankho ka rang ho gaya gulabi-gulabi
ho maine pyar
ho maine pyar kiya oy hoye kya jurm kiya
in aankho ka rang ho gaya gulabi-gulabi
haye haye haye dil ki halat sharabi-sharabi
in aankho ka rang ho gaya gulabi-gulabi
haye haye haye dil ki halat sharabi-sharabi