Lyrics of Ho Aaj Majhab Koyee Ek Aisa Naya - हो आज मज़हब कोई एक ऐसा नया
ho aaj majhab koi ek aisa naya
aaj majhab koi ek aisa naya dosto is jahan me chalaya jaye
ho aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
jisme insan insan banke rahe
jisme insan insan banke rahe, aur gulshan ko gulshan banaya jaye
o aaj majhab koi ek aisa naya
o aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
ho aaj majhab koi ek aisa naya
ho aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
jisme insan insan banke rahe aur gulshan ko gulshan banaya jaye
o aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
jisase badhakar koi kitab nahi, are jiska milta koi jawab nahi
umrr bhar chadh kar jo nahi utare, woh nasha hai magar sharab nahi
use pyar jamana kehta hai, uska divana rehta hai
yeh aisa hai rangin nasha, yeh jitna chadhe utna hi maja
yeh jitna chadhe utna hi maja, yeh jitna chadhe utna hi maja
hontho pe gulab yahi toh hai, aankho me khwab yahi toh hai
galo pe shabab yahi toh hai, ghunghat me hijab yahi toh hai
hontho pe gulab, aankho me khwab, galo pe shabab, ghunghat me hijab
yahi toh hai, yahi toh hai, yahi toh hai, yahi toh hai
isako paya mira ne, isako hi gaya kabira ne
o har ruh ki aawaj hai ye, sabse sundar sajh hai yeh
jis se roshan padosi kaa aangan rahe
jis se roshan padosi kaa aangan rahe, woh diya har ghar me jalaya jaye
jisme insan insan banke rahe, aur gulshan ko gulshan banaya jaye
aaj majhab koi ek aisa naya
aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
yeh chhav bhi hai aur dhup bhi hai, rup bhi hai aur anup bhi hai
yeh shabnam bhi angaar bhi hai, yeh megh bhi hai malhar bhi hai
are isame duniya ki jawani hai, yeh aag ke bhitar pani hai
yeh ruh kaa ek sarovar hai, katare me ek samandar hai
katare me ek samandar hai, katare me ek samandar hai
isame duniya ki jawani hai, yeh aag ke bhitar pani hai
yeh ruh kaa ek sarovar hai, katare me ek samandar hai
shayar kaa hasin tasavvur hai, sangit kaa ek svayamvar hai
shayar kaa hasin tasavvur hai, sangit kaa ek svayamvar hai
yeh sabko sab kuchh deta hai aur badle me badle me badle me
bas dil leta hai dil leta hai, dil dil dil
dil dil leta hai dil leta hai, iska jo karam aaj ho jaye,
iska jo karam aaj ho jaye, toh yeh mehfil bhi jannat si ho jaye
toh yeh mehfil bhi jannat si ho jaye
iska jo karam aaj ho jaye, iska jo karam aaj ho jaye
toh yeh mehfil bhi jannat si ho jaye
jisme insan insan banke rahe
jisme insan insan banke rahe, aur gulshan ko gulshan banaya jaye
aaj majhab koi ek aisa naya
aaj majhab koi ek aisa naya dosto is jahan me chalaya jaye
dosto is jahan me chalaya jaye, dosto is jahan me chalaya jaye