Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Himmat Na Haar Are Bande
|
Manna Dey | Anil Biswas | ||||
Zamana (1957) | Qamar Jalalabadi | ||||||
himmat na haar
himmat na haar are bande
naiya se kinara dur nahi
himmat na haar
insaan to hai majbur magar
bhagwan kabhi majbur nahi
himmat na haar are bande
naiya se kinara dur nahi
himmat na haar
jab sar pe musibat aati hai
jab sar pe musibat aati hai
sari duniya thukrati hai
duniya ka ye dastur nahi
bhagwan ka ye dastur nahi
himmat na haar are bande
naiya se kinara dur nahi
himmat na haar
jo hona tha jo hoke raha
jo hona tha jo hoke raha
tu dil ke tukde phir se utha
ek thes lagi hai chhoti si
hua shisha chakna chur nahi
himmat na haar are bande
naiya se kinara dur nahi
himmat na haar
kudrat ne tujhe do hath diye
kudrat ne tujhe do hath diye
mehnat me shram ki baat hi kya
koi tan beche koi man beche
are kaun yaha majdur nahi
himmat na haar
himmat na haar
himmat na haar