Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hey Mahashakti Mahamaya
|
Jaspal Singh | Sapan Jagmohan | ||||
Tara Rani Ki Amar Katha (1994) | Naqsh Lyallpuri | ||||||
hey mahashakti mahamaya tera paar kisi ne na paya
o tera par kisi ne na paya
kya hai vidhi ka vidhan nahi kisi ko bhi gyan
kya hai vidhi ka vidhan nahi kisi ko bhi gyan
jane jag mein na koi teri maya tera par kisi ne na paya
o tera paar kisi ne na paya
hey mahashakti mahamaya
do kaliyan ik dali ki ik suraj ki do kirne
nanda or sunanda thi do pyari pyari behne
dharam karam ka fal tha nanda janami dobara
raja sparsh ke mehalon mein wo chamaki bankar tara
aur sunanda banke chhipkali
aur sunanda banke chhipkali
naye janam mein ayi ek shrap ke karan
usne manav june gawayi
tune adbhut khel rachaya tune adbhut
khel rachaya o ttune adbhut khel rachaya
hey mahashakti mahamaya
nanni munni tara apne hathon jot jagati
sacche man se pooja karti ma ke mandir jati
bhosh rishi ke ashram me chhipakali ye soch rhi thi
jane is jeevan se usko milegi kaise mukti
is duniya mein prani kaise is duniya
mein prani kaise ek sa jeevan paye
alag alag hoti hain sabke hathon ki rekhaye
kahin dhup kahin hai chhaya kahin dhup
hai kahin hai chhaya o kahin dhup hai kahin hai chhaya
hey mahashakti mahamaya tera paar kisi ne na paya