Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
He Maryada Purushottam Bolo, Tumne Maryada Kyo Tod Di
|
Asha Bhosle, Lata Mangeshkar | Kalyanji Anandji | ||||
Bajrang Bali (1976) | Kavi Pradeep | Religious Songs | |||||
he maryada purushotam bolo
he maryada purushotam tumne
maryada kyu tod di nakli sita ke fer me
asli sita kyu chhod di he ram he ram
he maryada purushotam tumne
maryada kyu tod di nakli sita ke fer me
asli sita kyu chhod di he ram he ram
jo tum pe nichawar rahti thi
tum uspe nichawar kyu na hue
jisne dukh jhele tumhare liye
tum uske barabar kyu na huye
tum uske barabar kyu na huye
kya pap kiya tha rani ne
kya pap kiya tha rani ne jo uski kismat fod di
nakli sita ke fer me asli sita kyu chhod di he ram he ram
is awadh ki chhati par bolo
kyu pathar ban kar baithe ho
ghar ki lakshmi ko chhod kar tum
kyu ishwar ban kar baithe ho
kyu ishwar ban kar baithe ho
kis karan raja ek sati ki
kis karan raja ek sati ki gardan tune marod di
nakli sita ke fer me asli sita kyu chhod di he ram he ram
kyu mithila me shiv dhanush ko tumne toda tha
utaar do utar do kyu sita se jiwan ka nata joda tha
utar do utara do kyu tyag diya tune apni paranita ko
kyu chhod diya jungle me sati punita ko
kyu thokar mar na di tumne singhasan ko
utar do utar do kyu thokar mar na di tumne is shashan ko
utar do utar do tum jan ke bhi anjan bano mat raja
insan bano insan bano insan bano bhagwan bano mat raja
bhagwan bano mat raja bhagwan bano mat raja