Lyrics of He Jag Ke Bhagwan Aao Aao Mujhe Apnao - हे जग के भगवान आओ आओ मुझे अपनाओ
he jag ke bhagwaan kaha ho aap
aao mujhe apna lo
he jag ke bhagwaan kaha ho aap
aao aao mujhe apna lo
main to tumhaari raaho me aaya
mujhko gale laga lo
mujhko gale laga lo
he jag ke bhagwaan
main prabhu tumse milne aaya
apna sab dukh kahne aaya
janam diya hai dukh ke liye to
jag se mujhe utha lo
jag se mujhe utha lo
he jag ke bhagwaan
tere daras ki lagan lagi hai
man mandir me jot jagi hai
bujh na jaaye tufaano se
aakar ise sambhalo
aakar ise sambhalo
he jag ke bhagwaan
ma ki mamta mujhe pukaare
chhod diya sab tere sahaare
sunte hai tum jagat pita ho
god me mujhe bitha lo
god me mujhe bitha lo
he jag ke bhagwaan
bhagwaan, bhagwaan, bhagwaan