The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
He Bad Ke Farishto Se Bhi Insan
0
Mohammed Rafi Sardar Malik
Maa Ke Aansoo (1959) Raja Mehdi Ali Khan, Madan Mohan,
Lyrics of He Bad Ke Farishto Se Bhi Insan - है बढके फ़रिश्तो से भी इंसान

khudi ko kar buland itna ke har takdir se pahle
khuda bande se khud puche bata teri raza kya hai
hai badhke farishto se bhi insan teri shan
khud ko jara pahchan tu khud ko jara pahchan
hai badhke farishto se bhi insan teri shan
khud ko jara pahchan tu khud ko jara pahchan

is dunia me tune hi liya nam khuda ka
liya nam khuda ka laya tha jami par tuhi
paygam khuda ka paygam khuda ka
to usko khuda kahta agar hota na insan
agar hota na insan hai badhke farishto se bhi
insan teri shan khud ko jara pahchan
tu khud ko jara pahchan

rote hue mohtazo yakimo ko hasa de
in bujhte charago ko sakhawat se jaga de
ek hath se agar apne lutayega khazane lutayega khazane
so hath se malik tere bhar dega khazane
tu inka nigeba khdua tera nigeba lutayega khazane
hai badhke farishto se bhi insan teri shan
khud ko jara pahchan tu khud ko jara pahchan

anjam tera tere hi hatho me hai nadan
khud ko jara pahchan tu khud ko jara pahchan
hai badhke farishto se bhi insan teri shan
khud ko jara pahchan tu khud ko jara pahchan

mathe se siya dag gunaho ke mita de
gunaho ke mita de
neki ke diye gum ke andhere me jala de
andhere me jala de do din ki khushi ke liye
tu bech na iman tu bech na iman
hai badhke farishto se bhi insan teri shan
khud ko jara pahchan tu khud ko jara pahchan

jannat na pirona na yaji nadido ke liye hai
allah ka ye ghar to sahido ke liye hai
hai waqt sambhalne ka sambhal ja are nadan
sambhal ja are nadan hai badhke farishto se bhi
insan teri shan khud ko jara pahchan
tu khud ko jara pahchan

kya teri duaao se falak hil nahi sakta
falak hil nahi sakta
is dar se tu chahe to kya mil nahi sakta
kya mil nahin sakta
ruk jayega neki se burai ka ye tufan
burai ka ye tufan
hai badhke farishto se bhi insan teri shan
khud ko jara pahchan tu khud ko jara pahchan