Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
He Ambike Jagdambike
|
Avinash Vyas | |||||
Mata Mahakali (1968) | Religious Songs | ||||||
he ambike jagdambike he khapper wali
pragat hui jagdambike chandi ka awataar
chaamunda ke roop me karne lagi prahaar
vipada si jhapat padi daanav asuro ke jhundo par
le kadak haath chau taraf badi maa
mund gira di mundo par
jab traahi trahi mach gayi aur asuro ka mandal ghabraya
tab ek mahadaanav pratha rakt dut banke aaya
uska jab maa ne sar kaata shonit ke jitane bindu gire
utne hi pragate rakt deep utne hi daanav or gire
yeh dekh samsya chandi ne kaali maa ka aawahan kiya
us rakt deep ki mrityu ka aankhir bas yahi nidaan hua
he ambike jagdambike he khapper wali
he mata mahakaali he mata mahakaali
mundo ki mala pahan mrit haatho ka shringaar kiye
sar me trishool kripaal liye kaali ne shool prahaar kiye
ek rakt bheechte mastak ke shonit ka lap lap paan kiya
sab laal lahu ko chaat gayi nahi ek bindu bhi girne diya
jab rakt bheej ki laash giri asuro me bhagdad machi ghor
kaali maa ka viplavi roop dekh traahi traahi ka macha shor
dharti ro li ambar kaanpa kailash hila dhan dhan karke
tooti samaadhi shiv shankar ki laharayi trishool nayan fadke
aa gaye shankar samjhaane ko ki bhang kare nayan miche
thokar khaakar gire swayam bhole kaali ke pag niche
kaali ki jaise drishti padi lambi si chilah nikal padi
pag niche shankar dekh dekh wo hil na saki rah gayi khadi
he ambike jagdambike he khapper wali
he mata mahakaali he mata mahakaali
koi kahe tujhko chaamunda koi kahe tujhe kaali
koi kahe tujhko jagdamba ambe shaktishaali
is anant me digdh digandh me tera hi yash chaaya
sabhi deviyon ka hai devi tujhme roop samaya
jay ambike jagdambike he mata mahakaali
jay ambike jagdambike he mata mahakaali
jay ambike jagdambike he mata mahakaali
jay ambike jagdambike he mata mahakaali