Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hazaaro Khwaishe Aisi (2)
|
Shubha Mudgal | Shantanu Moitra | ||||
Hazaaron Khwaishein Aisi (2005) | Mirza Ghalib | ||||||
hazaro khwahise aisi ke
har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin
fir bhi kam nikle
nikalna khuld se aadam ka
sunte aaye the lekin
bahut beaabru hokar
tere kuche se hum nikle
hazaro khwahise aisi ke
har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin
fir bhi kam nikle
mohabbat me nahi hai
fark jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hai
jis kafir pe dam nikle
hazaro khwahise aisi ke
har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin
fir bhi kam nikle