Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Har Aish Hai Duniya Me Amiro Ko Araam
|
S D Batish, Mohammed Rafi | Hansraj Behl, Ghulam Haider | ||||
Kaneez (1949) | Hasrat Lakhnavi | ||||||
har aish hai dunia ka kismat me garibo ke
din kate nahi kat-te bechare amiro ke
dunia me amiro ko
aji dunia me amiro ko
aaram nahi milta
aaram nahi milta
aaram nahi milta
haste hai to rone ka
haste hai to rone ka
ha paygam nahi milta
paygam nahi milta
aaram nahi milta
savere chai aur phir nashta
phir do baje khana
baje jab char to, phir chai biscuit
aur phir rat ko khana
lage rahte hai hardum
khane hi khane ke chakkar me
musibat hi musibat hai
likhi unke mukaddar me
becharo ka bin motar
becharo ka bin motar
to paanv nahi hilta
to paanv nahi hilta
aaram nahi milta
dunia me amiro ko
aaram nahi milta
aaram nahi milta
aaram nahi milta
garibo ko to dekho
rat din aaram karte hai
chane ki ek muthi khake
din bhar kam karte hai
na khane ki musibat hai
pahanne ka na kuch jhagda
fakat tan dhakne ko chahiye
chota sa ek kapda
aur unka hazaro me
aur unka hazaro me
ek shut nahi milta
ek shut nahi milta
aaram nahi milta
aaram nahi milta
dunia me amiro ko
aaram nahi milta
aaram nahi milta
aaram nahi milta
aji dunia me amiro ko
aaram nahi milta
aaram nahi milta
aaram nahi milta
aaram nahi milta
haste hai to rone ka
haste hai to rone ka
ha paigaam nahi milta
paigaam nahi milta
aaram nahi milta
paigaam nahi milta