Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hansi Hansi Na Rahi Aur Kushi Kushi Na Rahi
|
Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra | Madhubala | |||
Sipahiya (1949) | Arzoo Lucknowi | Sad Songs | |||||
hansi hansi na rahi aur khushi khushi na rahi
main zindagi jise samjhu wo zindagi na rahi
jiyu to kiske liye
jiyu to kiske liye aur maru to kiske liye
maru to kiske liye
jo ek aas bandhi thi wo aas hi na rahi
hansi hansi na rahi aur khushi khushi na rahi
kuch aa ke gam ke andhere ne aisa gher liya
kuch aa ke gam ke andhere ne aisa gher liya
chiraag jalte rahe aur roshni na rahi
hansi hansi na rahi aur khushi khushi na rahi
andheri raat hai
andheri raat hai ab aur bujha sa dil ka deeya
bujha sa dil ka deeya
jo char din ke liye thi wo chandni na rahi
hansi hansi na rahi aur khushi khushi na rahi