Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hamse Hoti Mohabbat Jo Tumko
|
Mukesh Chand Mathur, Asha Bhosle | Khayyam | Shashi Kapoor | |||
Mohabbat Isko Kahete Hain (1965) | Majrooh Sultanpuri | Masti Bhare Geet | |||||
tum isko khel samjhe ho magar ek din dikha denge
mohabbat kisko kahte hai mohabbat kaisi hoti hai
hamse hoti mohabbat jo tumko
hamse hoti mohabbat jo tumko
tum ye apna chalan chhod dete
dard hota jo kuch bhi hamara
tum ye diwanapan chhod dete
chhod do tum ada ruthne ki
chhod do tum ada ruthne ki
hum ye diwanapan chhod denge
phul si ek hasi par tumhari
jindagi ka chaman chhod denge
phul si ek hasi par tumhari
tumko kehta hai kya ye jamana
tumko kehta hai kya ye jamana
tum jara ye kahani bhi sunte
aarzu hi rahi ek din tum
kuch hamari jubani bhi sunte
kya sune tum jo aise hi hote
fir ye apna chalan chhod dete
dard hota jo kuch bhi hamara
tum ye diwanapan chhod dete
is kadar lag rahi ho hasi tum
is kadar lag rahi ho hasi tum
kash utre na gussa tumhara
tum yahi chahte ho to behtar
ab na utrega gussa hamara
ek bar muskurake to dekho
hum ye diwanapan chhod denge
phul si ek hasi par tumhari
jindagi ka chaman chhod denge
phul si ek hasi par tumhari
tumne samjha nahi hai wo arman
tumne samjha nahi hai wo arman
jo dhadakta hai dil me hamare
tumne dekha kaha hai wo shola
jo bhadakta hai dil me hamare
jab ye shola bhadak kar bujhega
jab ye shola bhadak kar bujhega
hum ye diwanapan chhod denge
phul si ek hasi par tumhari
jindagi ka chaman chhod denge
phul si ek hasi par tumhari
jindagi ka chaman chhod denge