Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hamara Bharat Hamari Janani
|
Mohammed Rafi | Apresh Lahiri | ||||
Subhash Chandra (1978) | Kaifi Azmi, Saraswati Kumar Deepak, | ||||||
humara bharat hamari janni
humari dharti humara desh
kaise ho maa tere sukhe nayan
kaise ho maa tere rukhe kesh
kaise ho maa tera dhul ka aasan
kaise ho maa tera malin vesh
tees koti santan jiski
milke pukare humara desh
kaisa hai dukh kaisi hai chinta
kaisi hai lazza hai kaisa hai klesh
tees koti ek swar me
milke pukare humara desh
humara desh humara desh
jaagi yahi thi budh ki aatma
kholne ko mukti dwar
chaya hua hai aadhe jagat par
aaj bhi unki bhakti ka saz
tere ashok ne shok mitaya
yash failaya desh videsh
uski nahi thi mata tu janni
uska nahi tha maa ye desh
kaisa hai dukh kaisi hai chinta
kaisi hai lazza hai kaisa hai klesh
tees koti ek swar me
milke pukare humara desh
humara desh humara desh
gunji yahi thi mandiro me
tere nimay ki manjul taan
nyay vidhan diya raghuwar ne
gaaye the chandidas ne gaan
tere partap ne sir na jhukaya
kya hai nahi uska dhanya desh
dhanya hai mata apni nasho me
agar hai unka rakt shesh
kaisa hai dukh kaisi hai chinta
kaisi hai lazza hai kaisa hai klesh
tees koti ek swar me
milke pukare humara desh
humara desh humara desh
jo kahi maa tere sundar mukh par
chayega dukh ka andhera ghor
hat jayenge kale badal
jaag uthegi aasha ki bhor
hamko mitani maa teri kalikh
prano se pyara humko swdesh
devi se pawan pooja se nirmal
swarg se sundar humara desh
kaisa hai dukh kaisi hai chinta
kaisi hai lazza hai kaisa hai klesh
tees koti ek swar me
milke pukare humara desh
humara desh humara desh
humara desh humara desh