Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ham Intazaar Karenge, Teraa Qayaamat Tak
|
Mohammed Rafi | Roshan | Pradeep Kumar, Ashok Kumar, Meena Kumari | |||
Bahu Begum (1967) | Majrooh Sultanpuri | ||||||
hum intzaar karenge hum intzaar karege
tera kayamat tak
khuda kare ki kayamat ho aur tu aaye
khuda kare ki kayamat ho aur tu aaye
hum intzaar karenge
bujhi-bujhi si nazar me teri talash liye
bhatakte phirte hai hum aaj apani laash liye
yahi junu yahi vahshat ho yahi junu yahi vahshat ho
aur tu aaye
khuda kare ki kayamat ho aur tu aaye
hum intzaar karenge
na denge hum tujhe ilzaam bewafai ka
magar gila to karenge teri judaai ka
tere khilaf shikayat ho tere khilaf shikayat ho
aur tu aaye
khuda kare ke kayamat ho aur tu aaye
hum intzaar karenge
ye zindagi tere kadamo me daal jayenge
tujhi ko teri amanat sambhaal jayenge
hamara aalam-e-ruksat ho hamara aalam-e-ruksat ho
aur tu aaye
khuda kare ke kayamat ho aur tu aaye
hum intzaar karenge