Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Halki Halki Si Baarish
|
Pankaj Udhas | Pankaj Udhas | ||||
Lamha (Pankaj Udhas) (0) | Prashant Vasl | Ghazals | |||||
halki halki si barish ho
halki halki si barish ho
narm hawa ke jhoke ho
nikhre nikhre se taza gum ho
hariyali ke chehre ho
kash kabhi aisa ho jaye
kash kabhi aisa ho jaye
halki halki si barish ho
barish ki pehli saaso me
miti ki angdaai ho
gehre gehre baadal
pedo ki shakhao se uljhe ho
mausm ke pehle phulo ki
khushbo kahi se aati ho
aur tumhari muskano me
mehke mehke waade ho
kash kabhi aisa ho jaye
halki halki si barish ho
chand kisi bhi chidiya sa
meri chhat par baetha ho
kabr hawa ke behkawe me
tip tip ki awaz khamoshi ki
gehra gehra kar jati ho
sannate sunte hum dono
bekhud hokar baethe ho
kash kabhi aisa ho jaye
halki halki si barish ho
raat kisi tuti chatri se
tap tap kar ke tapki ho
bin bheege bheege panchi jaise
ghutne ghutne tak pani me chalkar
aaye koi subha subha
aur raat ki need odhkar hum
besud hokar so jate hai
kash kabhi aisa ho jaye
halki halki si barish ho
halki halki si barish ho
narm hawa ke jhoke ho
nikhre nikhre se taza gum ho
hariyali ke chehre ho
kash kabhi aisa ho jaye
kash kabhi aisa ho jaye
halki halki si barish ho