The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Halka Suroor
0
Nusrat Fateh Ali Khan
Yeh Jo Halka Halka Suroor (2012) Qawwalis
Lyrics of Halka Suroor - हल्का सुरूर

kar rahi hai dar haqiqat, kaam teri najar
kar rahi hai kaam
kar rahi hai dar haqiqat, kaam teri najar
maikadi me, gardishe sagar banaye na
ye jo halka halka surur hai
ye jo halka halka surur hai
ye teri najar ka kusur hai
ke sharab peena sikha diya
ye teri najar ka kusur hai
ke sharab peena sikha diya
ho tere pyar ne, teri chah ne
tere pyar ne, teri chah ne
teri bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya
teri bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya
ye nigah nigah ki, nigah ne
ye sharab kaisi, khumar kaisa
ye sab tumhari nawajishe hai
sharab kaisi, khumar kaisa
ye sab tumhari nawajishe hai
peeelayi hai kis kadar se tune
ke mujhko apni khabar nahi hai
teri bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya

bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya
har kali mahwe khaab ho jaati
patti patti gulab ho jaati
tune daali na mahkisha najre
warna shabnam, sharab ho jaati
teri bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya
teri bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya

teri bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya
sara jahan mast, sara jahan mast
jahan kaale gaam mast
sara jahan mast, jaha kaale gaam mast
mast raat, mast sahar, mast sham mast
mast shisha, mast shab, mast jaam mast
hai teri chashme mast se, har khas-o-aam mast
yu to saaki har taraf ki, tere maikhane me hai
hai wo bhi thodi si, hai wo bhi thodi si
jo in aankho ke paimane me hai
hai wo bhi thodi si, jo in aankho ke paimane me hai
sab samajhta hu teri, iswagariya saaki
kaam karti hai najar, na
teri bahki bahki nigah ne
mujhko ek sharabi bana diya
tera pyar hai, meri zindagi

tera pyar hai, meri zindagi
teri yaad hai meri bandgi
jo teri khushi, wo meri khushi
ye mere junu ka hai mojja
jaha apne sar ko jhuka diya
waha apne sar ko jhuka diya
mere baad kisko sataoge
maine unke samne awal to khanjar rakh diya
phir kaleja rakh diya, dil rakh diya
sab rakh diya aur araj kiya
mere baad kisko sataoge

mere baad kisko sataoge
meri wafaye yaad karoge
rouge, fariyad karoge
mujhko to barbad kiya hai
mujhko to barbad kiya hai
aur kise barbad karoge
aur kise barbad karoge
diljalo se dillagi acchi nahi
rone walo se hansi acchi nahi
dillagi hi dillagi me, dil gaya
dillagi hi dillagi me, dil gaya
dil lagane ka natija mil gaya
dil lagane ka natija mil gaya
main to rota hu, ke mera dil gaya
main to rota hu, ke mera dil gaya
tum kyu hanste ho, tumhe kya mil gaya
mere baad kisko sataoge
mere baad kisko sataoge
mujhe kis tarah se mitaoge
kahan jaake teer chalaoge
kahan jaake teer chalaoge
meri dosti ki panah hai wo
meri dosti ki panah hai wo
mujhe hath uthakar duaye do
tumhe ek sharabi bana diya
mujhe hath uthakar duaye do
tumhe ek sharabi bana diya
mujhe dekho khwaishe janeja
mujhe dekho khwaishe

mujhe dekho khwaishe janeja
main wahi hu anware neemja
tumhe itna hosh tha jab kahan
tumhe itna hosh tha jab kahan
na chalaao tum is tarah juba
karo mera shukriya meharba
tumhe baat karna sikha diya
ye jo halka halka surur hai