Lyrics of Hak Hai - हक है
ghor andhera, kehta raha, haar ja
ek sitaara mana nahi, na dara
roshni ki ik bund pe, zinda raha wo, zinda raha wo
zindagi ki kuch doriyo ko jakde hue, kehta raha
haq hai mujhe jalne ka
haq hai mujhe jeene ka
haq hai mera ambar pe, leke rahunga haq mera
leke rahunga haq mera, karta hu wada
mere lahu ka qatra abhi garm hai, ek adhura mera abhi karm hai
din mahine aur saal ki ginta raha wo, ginta raha wo
hosle ki kuch tiliyo ko pakde huye, Kehta raha
haq hai mujhe jalne ka
haq hai mujhe jeene ka
haq hai mera ambar pe, leke rahunga haq mera
leke rahunga haq mera, karta hu wada
main jaanta hu mujhe aakhir ek na ek din, marna hai
par jab talak bhi jeeyu wo jeena kaisa, tai karna hai
mitti ki kaya me lohe ka hai irada
haq hai mujhe jalne ka
haq hai mujhe jeene ka
haq hai mera ambar pe, leke rahunga haq mera
leke rahunga haq mera, tu dekh lena