Lyrics of Hai Prit Jaha Ki Rit Sada - है प्रीत जहाँ की रीत सदा
jab zero diya mere bharat ne
bharat ne mere bharat ne
duniya ko tab ginti aayi
taro ki bhashha bharat ne
duniya ko pahle sikhalayi
deta na dashmalav bharat to
yu chand pe jana mushkil tha
dharti aur chand ki duri ka
andaza lagana mushkil tha
sabhyta jaha pahle aayi
sabhyta jaha pahle aayi
pahle janami hai jaha pe kalaa
apna bharat vo bharat hai
jiske pichhe sansar chala
sansar chala aur aage badha
yu aage badha, badhta hi gaya
bhagvan kare ye aur badhe
badhta hi rahe aur phule-phale
badhta hi rahe aur phule-phale
hai prit jaha ki rit sada, hai prit jaha ki rit sada
hai prit jaha ki rit sada, main geet waha ke gata hu
bharat ka rahne wala hu, bharat kie baat sunata hu
hai prit jaha ki rit sada
kale gore ka bhed nahi, har dil se hamara nata hai
kuch aur na aata ho hamko, hame pyar nibhana aata hai
jise maan chuki sari duniya, ho jise maan chuki sari duniya
main baat, main baat wahi dohrata hu
bharat ka rahne wala hu, bharat kie baat sunata hu
hai prit jaha ki rit sada
jite ho kisi ne desh to kya, hamne to dilo ko jita hai
jaha ram abhi tak hai nar me, nari me abhi tak sita hai
itne pawan hai log jaha, ho itne pawan hai log jaha
mai nit nit, mai nit nit shish jhukata hu
bharat ka rahne wala hu, bharat kie baat sunata hu
itni mamta nadiyo ko bhi, jaha maata kah ke bulate hai
itna aadar insan to kya, patthar bhi puje jate hai
us dharti pe maine janam liya
ho us dharti pe maine janam liya, ye soch
ye soch ke mai itraata hoo
bharat kaa rahane waala hoo, bharat ki baat sunaata hoo
hai prit jaha ki rit sada