Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hai Bahaare Baag Duniya Chand Roj
|
Mohammed Rafi | Ravi | ||||
Bombay Ka Chor (1962) | Rajinder Krishan | Philosophical Songs, Sad Songs | |||||
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj
dekh lo iska tamaasha chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj
laakh daara aur sikandar ho gaye
aaj bolo woh kaha sab kho gaye
aayi hichaki maut ki aur so gaye
aayi hichaki maut ki aur so gaye
har kisika hai basera chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj
kal talak rangin bahaare thi jahaan
aaj kabro ke wahaan dekhe nishaan
rang badale har ghadi yeh aasma
rang badale har ghadi yeh aasma
aish-o-gum jo kuchh bhi dekha chand roj chnad roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj
kya milega dil kisi ka tod ke
le duwa tute dilo ko jod ke
jaa magar kuchh yaad apni chhod ke
jaa magar kuchh yaad apni chhod ke
ho tera duniya me charcha chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj chand roj
hai bahaar-e-baag-e-duniya chand roj