Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Haal
|
Shamshad Begum | Bulo C Rani | ||||
Anjuman (1948) | Majrooh Sultanpuri | Sad Songs | |||||
haal-e-dil kisko sunau
razda koi nahi meharba koi nahi
haal-e-dil kisko sunau
razda koi nahi meharba koi nahi
kisse kahiye jake apni zindagi ka mazra
lut gaya hai raste me hasrato ka kafila
mai wo rahi hu ke jiska karwa koi nahi
meharba koi nahi
haal-e-dil kisko sunau
razda koi nahi meharba koi nahi
kyu meri duniya base
kyu meri kismat phire
shauk se aandhi chale
ab shauk se bijli gire
jal chuka hai aashiya
ab aashiya koi nahi
meharba koi nahi
haal-e-dil kisko sunau
razda koi nahi meharba koi nahi
kuch khushi se wasta
aur na gham se wasta
kuch khushi se wasta
aur na gham se wasta
lag gayi hai chup se dil ko
haye dil ko kya hua kya hua
kya hu mai kya sunau dasta koi nahi
meharba koi nahi
haal-e-dil kisko sunau
razda koi nahi meharba koi nahi