Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Gulaami Kaa Ghanaa Andheraa
|
Kavita Krishnamurthy, Mohammed Aziz | Laxmikant Pyarelal | Ashalata, Rishi Kapoor, Jackie Shroff, Prem Chopra, Pran, Rakesh Bedi, Rekha | |||
Azaad Desh Ke Gulam (1990) | Sameer | ||||||
gulami ka ghana andhera bharat me tha chaya
inqalab ka naara gandhi nehru ne doharaya
bhagat singh azad ne apane lahu ki nadi baha di
jaane luta ke viro ne azadi hume dila di
roko zulmo ki andhi ko nafarat ka lahu mat bahane do
roko zulmo ki andhi ko nafarat ka lahu mat bahane do
kam se kam pyaar ki dharti par to pyaar ko zinda rahne do
roko zulmo ki aadhi ko nafrat ka lahu mat bahane do
kam se kam pyaar ki dharati par to pyaar ko zinda rahne do
bhukh garibi bhaari choraaho par lut gai naari
ghar me ghus kar goli maari pakada gaya na atyachari
insani ruho ke andar sama gaya hai haivaan darinda
bech raha beti ki asmat jala diya dulhan ko zinda
jala diya dulhan ko zinda
jinaki kokh se paida hue use izzat ke gahane do
roko zulmo ki aadhi ko nafarat ka lahu mat bahne do
kam se kam pyaar ki dharati par to pyaar ko zinda rahne do
kate jism ko aur kaha tak katoge bataao
ik ma ko kitane hisso me baatoge batlao
kate hue tukado ko gar tum jod sako to jodo
maar ke patthar apani ma ka sar aise na phodo
ang ang zakhmi hai kyo zakhmo ko sahane do
roko zulmo ki aadhi ko nafarat ka lahu mat bahane do
kam se kam pyaar ki dharati par to pyaar ko zinda rahne do
chikh rahi hai bhaarat maata gandhi gandhi vaapas aao
azad desh ki mai gulam aazaadi mujhe dilao
lipat gai hai tumase aakar apni bharat mata
bacha lo isaki laaj mere bharat ke bhagya vidhata
bharat ke bhagya vidhata bharat ke bhagya vidhata
bharat ke bhagya vidhata bharat ke bhagya vidhata