Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Gori Ankho Me Dale Kajra
|
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Master Krishnarao | ||||
Keechak Vadh (1959) | Bharat Vyas | ||||||
gori aankho me dale kajra
ho gori aankho me dale kajra
aur hatho me pahne gajra
bolo kaha chali bolo kaha chalo
nanhi kali sach to bata
tere piya ki hai kaun si gali
mere mathe pe bindiya chamke
mere mathe pe bindiya chamke
mere paav me jhanjhar jhanke
mai to waha chali mai to waha chali
nanhi kali kaise batau
badi dur mere piya ki gali
gori gori pariyo ki chori si chabili naar
chori chori nikli kyu ghar se
kyu nikli ji ghar se
suni hai dagariya umariya hai bali
kaahe darti nahi kya darti nahi kya jag
darti nahi kya jag bhar se
madmate nain matkati
bolo kaha chali bolo kaha chalo
nanhi kali sach to bata
tere piya ki hai kaun si gali
anhkiya fadakti hai jiyra dhadkta hai
jabse baji hai bansuriya re bansuriya
sajan se milan ki agan lagi
chalki nain ki gagariya nain ki gagariya
jaha rasta take hai sawariya
jaha lagi hai meri najariya
mai to waha chali mai to waha chali
nanhi kali kaise batau
badi dur mere piya ki gali