Lyrics of Ghul Raha Hai Sara Manzar - घुल रहा हैं सारा मंजर
ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
chandani ki chadar odhe
har pahadi so gayi
ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
chandani ki chadar odhe
har pahadi so gayi
ghul raha hai sara manzar
sara manzar, sara manzar
waadiyon mein ped hai ab
apni hi parchhayi
waadiyon mein ped hai ab
apni hi parchhayi
uth raha hai kohra jaise
chandani ka woh dhuan
chand pighla to chattane
bhi mulayam ho gayi
raat ki saanse jo mehki
aur madhdham ho gayi
ghul raha hai sara manzar
sara manzar, sara manzar
naram hai jitni hawa
utni fiza khamosh hai
naram hai jitni hawa
utni fiza khamosh hai
tahniyo par oas pee ke
har kali behosh hai
hod par karvat liye
ab unghte hai raaste
door koi gaa raha hai
jaane kiski vaste
ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
chandani ki chadar odhe
har pahadi so gayi
ghul raha hai sara manzar
sara manzar, sara manzar