Lyrics of Ghar, Ujla Hi Ujla Shahar Hoga - उजला ही उजला शहर होगा
ujla hi ujla shahar hoga
jisme hum tum banayenge ghar
hum dono rahenge kabutar se
jisme hoga na baazon ka dar
makhmal ki nazuk diwaare bhi hongi
makhmal ki nazuk diwaare bhi hongi
kono me baithi bahare bhi hongi
khidki ki chaukhat bhi resham ki hogi
chandan se lipti hanse han bhi hongi
sandal ki khushbu bhi tapkegi chhat se
fulon ka darwaza kholenge jhat se
dolenge mahki hawa ke ha jhonke
aankhon ko chhu lenge, gardan bhigo ke
aangan me bikhre pade honge patte
sukhe se naazuk se pile chhitakke
paao ko nanga jo karke chalenge
charpar ki aawaaz se vo bajenge
koyal kahegii ki main hun saheli
maina kahegi nahi tu akeli
battakh bhi cho cho me hasti si hogi
bagule kahenge, suno ab utho bhi
hum bhi honge pade aankh munde
kaliyon ki ladiyan dilon me ha gunde
dhundenge us paar ke, us jahaan ko
jaati hai koi dagar, jaati hai koi dagar
chandi ke taaron se raate bunenge to
chamkili hogi sahar
ujla hi ujla shahar hoga
jisme hum tum banayenge ghar
aaoge thak kar jo ha saathi mere
kandhe pe lungi tika saathi mere
bhuloge tum jo bhi ha sathi mere
moti sa lungi utha saathi mere
palkon ki koron pe aaye jo aasun
main kyun darungi, bata saathi mere
ungli tumhari to pehle se hogi
gaalon pe mere to ha saathi mere
tum has padoge to main has padungi
tum ro padoge to main ro padungi
lekin meri baat ek yaad rakhna
mujhko hamesha hi han saath rakhna
judhti jaha ye zamin aasmaan se
had ha humari, shuru ho wahan se
taaron ko chhu lo, zara sa sambhal ke
us chaand par jhat se jaye fisal ke
beh jaaye dono hawa se nikal ke
suraj bhi dekhe hume aur jal ke
hoga nahi hum pe maaloom saathi
tino jahan ka asar, tino jahan ka asar
ki raahon ko raahe batayenge saathi hum
aisa hoga safar
mujla hi mujla shahar hoga
jisme hum tum banayenge ghar
dono rahenge kabutar se
jisme hoga na baazon ka dar