Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Geeton Par Pehre Hai Hotho Pe Taale Hai
|
Amit Kumar | Arthur Gracias, Gautam Ghosh | Mithun Chakraborty | |||
Gudia (1998) | Gautam Ghosh, Nida Fazli, | ||||||
geeto par pehre hai hotho pe tale hai
yaha to jine ke chalan nirale hai
sach yaha bolo nahi raze dil kholo nahi
jahan se socho nahi aankho se dekho nahi
hai ye jhutho ka jaha har juba hai bezuba
phir bhi jina hai yaha jaye to jaye kaha
chahe jaisi uljhan ho lakh jamana dushman ho
jab tak mere sath ho tum
geet hu mai aawaz ho tum yuhi mai gaunga
paiso ki dunia me har say ki kimat hai
apni tarah se to jina musibat hai
sathiyo hath me hath do sath do
tum hi meri chahat ho tum hi takat ho
sapno ka geeto se geeto ka jiwan se
jiwan ka chahat se rishta purana hai
chahe jaisi uljhan ho lakh jamana dushman ho
jab tak mere sath ho tum
geet hu mai aawaz ho tum yuhi mai gaunga
geeto par pahre hai hotho pe tale hai
yahan to jine ke chalan nirale hai
ek se aasu hai ek si aankhe hai
ek se rahi ek si rahe hai
yu to gino to kayi aadmi hai
magar ek hi aadmi
mai hi sari janta hu sadiyo se zinda hu
chahe jaisi uljhan ho lakh jamana dushman ho
jab tak mere sath ho tum
geet hu mai aawaz ho tum yuhi mai gaunga