Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
|
Amitabh Bhattacharya, Amit Trivedi | Amit Trivedi | ||||
Udaan (2010) | Amitabh Bhattacharya | Sad Songs | |||||
geet mein dhalte lafzon mein
taal pe chalti nabzon mein
naya kuchh naya to zaroor hai
shaam se leke sehron mein
dhoop jadi duphero mein
naya kuchh naya to zaroor hai
kya baat hai jo baat hai taaza lagey
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan ye umango se poora hua seena hai
lamha ye maanga nahi ise humne cheena hai
yunhi jeena hai
dhul jami thi aankhon mein
khwab khile ab lakhon mein
naya kuch naya to zaroor hai
dard ki baatien kal ki hain
aaj me khushiya chalki hain
naya kuch naya to zaroor hai
jebon mein hum raatein liye ghuma kare
fursat ke ye mauke sabhi jhuma kare
haan ye umango se poora hua seena hai
lamha ye maanga nahi ise humne cheena hai
yunhi jeena hai
hatheli me hai nayi garmiya
junoon sakht hai gayi narmiya
hai dilchasp ye aag si aag si
mitenge nahi yaad se yaad se
geet mein dhalte lafzon mein
taal pe chalti nabzon mein
naya kuchh naya to zaroor hai
shaam se leke sehron mein
dhoop jadi duphero mein
naya kuchh naya to zaroor hai
kya baat hai jo baat hai taaza lagey
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan ye umango se poora hua seena hai
lamha ye maanga nahi ise humne cheena hai
yunhi jeena hai