Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Gate The Khushi Kaa Geet Kabhi
|
Asit Baran | K P Sen | ||||
Azadi Ke Baad (1951) | M Razi Banarsi | Patriotic Songs | |||||
gaate the khushi ka geet kabhi
hum gam tera bhulate hai
has has ke hasana bhul gaye
ro ro ke aaj rulate hai gaate the
khun hota hai armano ka
dil rota hai hum gaate hai
khun hota hai armano ka
dil rota hai hum gaate hai
jo pyare sapne dekhe the
jo pyare sapne dekhe the
vo rah rah ke yaad aate hai
ro ro ke aaj rulate hai gaate the
samjhe the jise sone ka mahal
mitti ka vo khajana tha
samjhe the jise sone ka mahal
mitti ka vo khajana tha
vo tuta hum barbad huye
do naina neer bahate hai
ro ro ke aaj rulate hai gaate the
aaj mana humne duniya me
ke jhute pyar jhuti sadaye
aaj mana humne duniya me
ke jhute pyar jhuti sadaye
barbad yaha hai jindgi
barbad yaha hai jindgi
hum dil ko ye samjhate hai
ro ro ke aaj rulate hai gaate the