Lyrics of Ganga Jamuna Do Hai Bahane - गंगा जमुना दो है बहने
ganga jamuna
ganga jamuna do hai bahne
bahno me hai bada pyaar
aisa pyaar ghar ghar me ho
is pyaar pe hum balihaar
aisa pyaar ghar ghar me ho
is pyaar pe hum balihaar
ganga jamuna
bade bhagy se mili hai mujhko
aisi mithi mithi bahna
ho mithi mithi bahna
man ki bholi, tan ki sunder
meri didi ka kya kahna
ho ho didi ka kya kahna
rahe umar bhar hum bahno ka
yahi prem dulaar
aisa pyaar ghar ghar me ho
is pyaar pe hum balihaar
ganga jamuna
ji karta hai baanho me bhar lun
mai ye chaand ka tukda
ho ho chaand ka ye tukda
dil ki kisi kone me rakh lun
mai ye pyara pyara mukhda
ho pyara pyara mukhda
aisi bahna unhi ko milti
jinke puny hazaar
aisa pyaar ghar ghar me ho
is pyaar pe hum balihaar
ganga jamuna
jab meri didi darpan me dekhe
chehra duna duna damke
ho ho duna duna damke
angna me jab meri bahaniya naache
chunri chaar guni chamke
o ho chunri chaar guni chamke
jab main janmu tab tab main paaun
yahi bahan har baar
aisa pyaar ghar ghar me ho
is pyaar pe hum balihaar
ganga jamuna, ganga jamuna
ganga jamuna do hai bahne
bahno me hai bada pyaar
aisa pyaar ghar ghar me ho
is pyaar pe hum balihaar
ganga jamuna