Lyrics of Ganga Aaye Kaha Se - गंगा आये कहाँ से
ganga aaye kaha se, ganga jaye kaha re
aaye kaha se, jaye kaha re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
ganga aaye kaha se, ganga jaye kaha re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
ganga aaye kaha se, ganga jaye kaha re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
rat kari din ujiyara mil gaye dono saye
rat kari din ujiyara mil gaye dono saye
sanjh ne dekho rang rup ke kaise bhed mitaye re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
ganga aaye kaha se, ganga jaye kaha re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
kanch koyi maati koyi rang-birange pyale
kanch koyi maati koyi rang-birange pyale
pyas lage toh ek barabar jisme pani dale
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
ganga aaye kaha se, ganga jaye kaha re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
nam koyi boli koyi lakho rup aur chehre
nam koyi boli koyi lakho rup aur chehre
khol ke dekho pyar ki aankhe sab tere sab mere re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
ganga aaye kaha se, ganga jaye kaha re
lahraye pani me jaise dhup-chhanv re
ganga aaye kaha se, ganga jaye kaha re