Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Gam Ki Andheri Raat Men
|
Talat Mehmood, Mohammed Rafi | C Arjun | ||||
Sushila (1966) | Jan Nisar Akhtar | ||||||
gam ki andheri raat me
dil ko na beqarar kar
subah jarur aayegi
subah ka intzaar kar
gam ki andheri raat me
dard hain sari zindagi
jiska koyi sila nahi
dil ko fareb dijiye
aur ye hausla nahi
aur ye hausla nahi
khud se to badguma na ho
khud pe to aitbaar kar
subah jarur aayegi
subah ka intzaar kar
gam ki andheri raat me
khud hi tadap ke rah gaye
dil ki sada se kya mila
aag se khelte rahe
hum ko wafa se kya mila
hum ko wafa se kya mila
dil ki lagi bujha na de
dil ki lagi se pyar kar
subah jarur aayegi
subah ka intzaar kar
gam ki andheri raat me
jis pe na dil bahal sake
aisi khabar se fayada
raat abhi dhali kahan
khabe sehar se fayada
khabe sehar se fayada
le bahar aayegi
daure fiza guzar kal
subah jarur aayegi
subah ka intzaar kar
gam ki andheri raat me
dil ko na beqarar kar
subah jarur aayegi
subah ka intzaar kar
gam ki andheri raat me
dard hain sari zindagi
jiska koyi sila nahi
dil ko fareb dijiye
aur ye hausla nahi
aur ye hausla nahi
khud se to badguma na ho
khud pe to aitbaar kar
subah jarur aayegi
subah ka intzaar kar
gam ki andheri raat me