The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Gali Gali Shor Hai
0
Various artists Anu Malik
Gali Gali Chor Hai (2012) Rahat Indori
Lyrics of Gali Gali Shor Hai - गली गली शोर है

ye sab mann ke bhi hai kaale
ye sab dhan ke bhi hai kaale
kya baat hai bhaiyya kya baat hai
mere ghar mein hi rehte
hai mera ghar lootne wale
dil ki baat keh di hai
bhaiyya dil ki baat
jo cheeze junglo ki hai
unhe jungle mein rehna tha
wo ab dilli mein rehte hai
jihne chambal mein rehna tha
jihne chambal mein rehna tha
nikalo nikalo in bayimano ko

gali gali chor hai gali gali chor hai
corruption corruption corruption ka shor hai
choro ka zor hai choro ka zor hai
choro ka daur hai chorn ka daur hai
choro se bandhi hui choro ki dor hai
choro se bandhi hui choro ki dor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai
abhey minyan sacchi baat boli hai tune

corruption ne likhi hai saari kahani
corruption ne likhi hai saari kahani
bina ghoos khori na bijli na paani
bina ghoos khori na bijli na paani
yahan saans lene ki keemat lagey gi
gharon se nikalte hi rishwat lagey gi
yahan aam logon ka hai yeh mukadder
na kuch ghar ke bahar na kuch ghar ke andar
na kuch ghar ke bahar na kuch ghar ke andar
na nehru ka sapna salamat raha hai
na gandhi ka charkha salamat raha hai
aadalat kachehri yeh vardi yeh thaane
chalate hai rishwat ke sab karkhane sab karkhane
disha koi bhi ho lootero ka zor hai
disha koi bhi ho lootero ka zor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai

yeh topi yeh dhoti yeh kurte pajame
yeh kurte pajame
sab inke natak hai sab inke dramein
sab inke dramein sab inke dramein
koi inn se keh de garebaan mein jaanke
dua hai ke khul jaaye dilli ki aankhein
ladaayi abhi humko rakhni hai jaari
hai azaadi ab tak adhuri hamari adhuri hamari
siyasi lootero ka kaisa ye daur
siyasi lootero ka kaisa ye daur
gali gali chor hai gali gali chor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai

burjan hai yeh corruption dushamn hai yeh corruption
apni aayodha mein raavan hai ye corruption
rail ki patriyo pe daude hai ye corruption
sacchiayio ke sheeshe tode hai ye corruption
jane kaha se aaya kisne ye seib laya
kheto mein apni aakhir ye zehar kyu ugaya
koi haqeem layo koi dawa pe laayo
habeez ko baandho is booth ko baandho
in brashtachaariyo ko dhan ke pujaariyo ko
pakad ke inn ko jail mein dalo
desh ko apne in se bacha lo
desh ko apne in se bacha lo
desh ko apne in se bacha lo
gali gali chor hai gali gali chor hai
corruption corruption corruption ka shor hai