Lyrics of Fasale Bahaara Hoon Main - फसले बहारा हूँ मैं
fasale bahaara hoon main, fasale bahaara
jalata angaara hoon main, jalata angaara
meri aaghosh mein hai narmiyaan
meri madhoshiyon mein garmiyaan
meri aaghosh mein hai narmiyaan
meri madhoshiyon mein garmiyaan
tujhe paana hai socha hai
mauka hai hone do hoti jo gustaakhiyaan
fasale bahaara hoon main, fasale bahaara
fasale bahaara hoon main, fasale bahaara
maine toh dil diya, tune ki dillagi
chaahat ke maayane tu samajha hi nahin
maine toh dil diya, tune ki dillagi
chaahat ke maayane tu samajha hi nahin
ishq ke moti lutaaye maine teri raahon mein
tune kaante hi chubhaaye bas meri nigaahon mein
maine socha na tha tu badal jaayega
iss kadar dard dega yun tadpayega
iss kadar dard dega yun tadpayega
sang dil sharaara hoon main, sang dil sharaara
fasale bahaara hoon main, fasale bahaara
mera junun dekha tune abhi kahan
chhinega tujhko mujhse koyi kaise meri jaan
mera junun dekha tune abhi kahan
chhinega tujhko mujhse koyi kaise meri jaan
aashqui jisne bhi ki woh khela apni jaan se
sun woh patthar ke sanam yeh puchh le jahan se
tere bin saari duniya hai kis kaam ki
mujhko parwah nahi hai ab anjaam ki
mujhko parwah nahi hai ab anjaam ki
arshe sitaara hoon main, arshe sitaara
fasale bahaara hoon main, fasale bahaara
jalta angaara hoon main, jalta angaara