Lyrics of Ek Shama Do Parwane - एक शमा दो परवाने
ek shama do parwaane
mile pyaar ke jahaan mein
khoon ki nadiyaa bah na jaayen
aaj shabistaan mein
kabhi haar kabhi jeet, yahi zindagi ki reet
kabhi haar kabhi jeet, yahi zindagi ki reet
yahi zindagi ki reet
yahi zindagi ki reet
pyaar ka ye khel hai, pyaar ka ye khel
haar ke baaji jo lagaaye, khele wahi khel
pyaar ka ye khel hai, pyaar ka ye khel
haar ki baaji jo lagaaye, khele wahi khel
ho ho ho ho ho ho ho
jise karni ho preet, sikhe marne ki reet
kabhi haar kabhi jeet, yahi zindagi ki reet
yahi zindagi ki reet
faisle pyaar ke, hote hain shamsheer se
naseeb likhe jaate hain, khoon ki lakeer se
faisle pyaar ke, hote hain shamsheer se
naseeb likhe jaate hain, khoon ki lakeer se
ho ho ho ho ho ho ho
ye hai ulfat ki reet, kabhi haar kabhi jeet
yehi zindagi ki reet
yehi zindagi ki reet
ik taraf hai duniyadaari, ik taraf hai pyaar
kiski hogi jeet bolo, kiski hogi haar
ik taraf hai duniyadaari, ik taraf hai pyaar
kiski hogi jeet bolo, kiski hogi haar
ho ho ho ho ho ho ho
raja pyaar ki hogi jeet
raja pyaar ki hogi jeet
kabhi haar kabhi jeet, yahi zindagi ki reet
yahi zindagi ki reet
lad nahin sakta koi, duniyaa mein taqdeer se
hoga shikhari ghaayal, apne hi teer se
lad nahin sakta koi, duniyaa mein taqdeer se
hoga shikhari ghaayal, apne hi teer se
ho ho ho ho ho ho ho
isko samjho na sangeet, ye hai zindagi ka geet
kabhi haar kabhi jeet, yahi zindagi ki reet
yahi zindagi ki reet
lad nahin sakta koi, duniyaa me taqdeer se
hoga shikhari ghaayal, apne hi teer se
hoga shikhari ghaayal, apne hi teer se
hoga shikhari ghaayal, apne hi teer se
hoga shikhari ghaayal, apne hi teer se
hoga shikhari ghaayal, apne hi teer se