Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ek Raja Ka Ek Beta Tha
|
Sushma Shrestha, Kishore Kumar | Sachin Dev Burman | Rajesh Khanna | |||
Tyaag (1977) | Anand Bakshi | ||||||
ek raja ka ek beta tha tum jaise hi pyara pyara
kuch gumsum sa kuch gupchup sa
rahta tha wo din sara na meet koi na sathi
fir kiske sang wo khele
mahlo me ek akela firta tha raj dulara
ek raja ka ek beta tha
raja ne manga ke diye kitne khilone
fir bhi wo baithe baithe lagta tha rone
raja ne manga ke diye kitne khilone
fir bhi wo baithe baithe lagta tha rone
suno aage bina lage kahta tha wo bechara
ek raja ka ek beta tha tum jaisa sa hi pyara pyara
kuch gumsum ka kuch gupchup sa
rahta tha wo din sara ek raja ka ek beta tha
usne choti si ek gudiya banai gudiya magar kisi kam na aayi
usne choti si ek gudiya banai gudiya magar kisi kam na aayi
na wo bole na wo dole karke jatan wo sab hara
ek raja ka ek beta tha tum jaisa hi pyara pyara
kuch gumsum ka kuch gupsup sa rahta tha wo din sara
ek raja ka ek beta tha fir koi jadugar raja ne bulaya
gudiya me jan dalo gudiya me jan dalo hukum sunaya
fir koi jadugar raja ne bulaya gudiya me jan dalo
hukum sunaya fir gudiya chalne lagi gudiya nachne lagi
gudiya hasne lagi gudiya gane lagi ha ha ha hasne laga
raja ki aankh ka tara ek raja ka
ek beta tha tum jaisa hi pyara pyara
kuch gumsum ka kuch gupsup sa rahta tha
wo din sara ek raja ka ek beta tha