The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Ek Nazar Kisi Ne Dekha Aur Dil Hua Deewana
0
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar Shankar Jaikishan
Rangoli (1962) Shailendra Dance Songs
Lyrics of Ek Nazar Kisi Ne Dekha Aur Dil Hua Deewana - इक नजर किसी ने देखा और दिल हुआ दीवाना

ik nazar kisi ne dekha aur dil huya diwana
hai baat bas itni si aur ban gaya afasana
ik nazar kisi ne dekha aur dil huya diwana
hai baat bas itni si aur ban gaya afasana

chori chori bagiya main aayi jo bahar
kaliyo ki ankhiyon se chalka khumar
chori chori bagiya main aayi jo bahar
kaliyo ki ankhiyon se chalka khumar
chhup chhup kisi se nazar huyi chaar
koi dil jit gaya koi gaya haar

mann mere jhum taro ko chum aaya tera zamana
ik nazar kisi ne dekha aur dil huya diwana
hai baat bas itni si aur ban gaya afasana

baaje mora bichhuwa thumk chalu chaal
dhak dhak dil mera deta jaye tal
baje mora bichhuwa thumk chalu chaal
dhak dhak dil mera deta jaye tal
ude hai chunar jaise shayar ka khayal
jane kaise jadu leke aaya hai ye saal
aankhein churau chhup chhup ke gaau main
ik naya tarana
ik nazar kisi ne dekha aur dil huya diwana
hai baat bas itni si aur ban gaya afasana

nayi nayi duniya hai main hun anjan
abhi abhi kisi se huyi hai pahchan
nayi nayi duniya hai main hun anjan
abhi abhi kisi se huyi hai pahchan
soch soch haar gaya mai hu hairan
tumhe kis naam se pukaru mahaman
sapna kahun ke apna kahun ke rangin ik fasana
ik nazar kisi ne dekha aur dil huya diwana
hai baat bas itni si aur ban gaya afasana
ik nazar kisi ne dekha aur dil huya diwana
hai baat bas itni si aur ban gaya afasana