Lyrics of Ek Nai Subah Ka Paigam - एक नयी सुबह का पैगाम
ek nayi subah ka paigam lekar ayega surya
aasma ka dharti ko salam lekar ayega surya
ek nayi subah ka paigam lekar ayega surya
aasma ka dharti ko salam lekar ayega surya, surya
umar is andheri ki rat bhar hai hone hi wali pal me sahar hai
sathi o himmat na har jana char kadam bas or safar hai
asha ka sahar tere nam lekar ayega surya
aasma ka dharti ko salam lekar ayega surya, surya
aayegi insaf ki hukmarani apna bahega khun hokar pani
uth roshni ka lahrade parcham
uth roshni ka lahrade parcham kar de nayi ye dunia purani
teri kurbani ka inam lekar ayega surya
aasma ka dharti ko salam lekar ayega surya, surya
jo hal chalaye uski jami ho ye faisla ho aaj or yahi ho
kab tak hua karam apna hoga mehanat kahi or daulat kahi ho
ye hukam dunia ke nam lekar ayega surya
aasma ka dharti ko salam lekar ayega surya
ek nayi subah ka paigam lekar ayega surya
aasma ka dharti ko salam lekar ayega surya, surya