Lyrics of Ek Machhar Sala Aadami Ko - एक मछर साला आदमी को
ek machhar
ek machhar sala aadami ko hijda bana deta hai
ek khatmal puri raat ko apaahij kar deta hai
ek machhar sala aadami ko hijda bana deta hai
mat aao mere pas rahne do mujhe akela
ladne do mujhe apni ladayi kabhi na kabhi to jhut ka
gala ghotegi sachayi
lekin sala ek machhar aadami ko hijda bana deta hai
subha ghar se niklo bhid ka ek hisa bano
sham ko ghar jao, daru pio, bacche paida karo
aur subha talak phir ek baar mar jao
kyoki aatma aur andar ka insan mar chuka hai
jine ke ghinone samjhote kar chuka hai
sala ek machhar aadami ko hijda bana deta hai
uchi dukan fika pakwan khadar ki langoti
chandi ka pikdaan sau me se assi beiman
phir bhi mera desh mahan
topi lagaye machhar kahta hai
desh ke logo me samta ki bhawna aa rahi hai
isiliye to badi machhali chhoti ko kha rahi hai
hamare chune huye kutte, hume hi katte hai
humare hisse ki botiya aapas me batte hai
amaan gand se bhari inki aawaj se nange raaste kaanpte hai
kal paida huye bacche, ek saans lete huye hapte hai
saitano ki najayaj aulad tahalka macha rahi hai
aur hum hum bhagwan ke chahete janwar insan
zindagi ko gaali banaye baithe hai kya kare, sala
sala ek machhar aadami ko hijda bana deta hai
giro salo giro giro giro lekin giro to
us jharne ki tarha jo parwat ki uchai se
gir ke bhi apni sundarta khone nahi deta
zamin ki tah se milke bhi apne astitav ko mitne nahi deta
lekin itna sochne ke liye waqt hai kiske paas, kyoki
sala ek machhar aadami ko hijda bana deta hai
mandir, masjid ki ladayi me mar gaye lakho insan
dharam aur mahjab ke naam par ho gaye hajaro kurban
jis ne anyay ke virod me baali ko mara
rawan ko maut ke ghaat utara
punay ko paap se ubhara, mujhe us ram ki talash hai magar
lagta hai is yug ke ram ko ajivan vanvas hai, kya kare
kyoki, sala ek machhar aadami ko hijda bana deta hai
ye machhar, ye machhar, jiska kichdo me ghar hai
naaliyo me basera hai
iski pahchan ye hai ke ye na tera hai na mera hai
ye machhar hijda bana dega, hijda bana dega
kabhi saitan aayenge, mere darwaje par dastak denge
jahn ki talashi lenge, phir jal utenge
us waqt mai daruga nahi
apne sharir ko dhaal, hath ko talwar banunga
ek na ek din to, tum mera hath chumoge
karo, aaj mujhe badnaam karo nilam karo
nilami ke liye kya hai mere paas
bas jalte huye aanshuo ka ehsaas
mana, magar mai tumse badla lunga, tumhari aakhiri boli par
mere do sanso ke bich ka thahrao tumhe fokat me dunga
kyoki salo ek machhar ne tumhe hijda bana diya hai