Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ek Kali Nazon Ki Pali
|
Shamshad Begum | Ghulam Haider | Manorama, Ramola | |||
Khazanchi (1941) | Wali Saheb | ||||||
ek kali naazo ki pali ek kali naazo ki pali
rahti thi sadaa gulzaaro me
ek kali naazo ki pali ek kali naazo ki pali
rahti thi sadaa gulzaaro me
charchaa thaa uske yauvan kaa
charchaa thaa uske yauvan kaa
nile aakaash ke taaro me
charchaa thaa uske yauvan kaa
nile aakaash ke taaro me
ek din khel rahi thi hans hans ke
haa haa haa haa haa haa haa haa
ek din khel rahi thi hans hans ke
rang birange phulo me
ek din khel rahi thi hans hans ke
rang barage phulo me
jhul rahi thi jhulaa daale pushplata ke jhulo me
jhul rahi thi jhulaa daale pushplata ke jhulo me
itne me ek bhanware ne us kali se nain milaaye
itne me ek bhanware ne us kali se nain milaaye
naino ki bhaashaa me jaane
kyaa kyaa bhed bataaye
naino ki bhaashaa me jaane
kyaa kyaa bhed bataaye
kali jo hans kar phul bani
tab bhanwaraa aa gayaa paas
kali jo hans kar phul bani
tab bhanwaraa aa gayaa paas
chhin bhar me phir chin liyaa sab rang rup aur baas
chhin bhar me phir chin liyaa sab rang rup aur baas