Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ek Ek Ginwata Hoon (Jai Bolo Beimaan Ki)
|
Mukesh Chand Mathur | Shankar Jaikishan | Rakhee, Manoj Kumar, Premnath | |||
Beimaan (1972) | Verma Malik | ||||||
kitne kism ke beimaani
kitne kism ke beimaan
ek ek ginwata hu
jara sunna dekar dhyan
right that's right
na ijjat ki chinta
na fikar koi apman ki
jai bolo beimaan ki jai bolo
jai bolo beimaan ki jai bolo
na ijjat ki chinta
na fikar koi apman ki
jai bolo beimaan ki jai bolo
jai bolo beimaan ki jai bolo
baat ke jhuthe nazar ke khote
dil ke bade kathor
bada hairan hua jab dekhe
baithe charo ore
mujhe dekh is mehfil me
isliye machaye shor
ki bade bade choro me aa gaya
kaha se chhota chor
jo kahana hain wo kah du
aprvah nahi is apman ki
jai bolo beimaan ki jai bolo
jai bolo beimaan ki jai bolo
is duniya me dekhe hain
kuchh aise bhi insaan
khud ko devta samjhe
aur duje ko beimaan
aaj fod du sabke bhande
tut jaye abhiman
apne apne dil se puchho
kaun hain iman
suraj si disha di hain
par sirat hain saitan ki
jai bolo beimaan ki jai bolo
jai bolo beimaan ki jai bolo
badi beimani karte
kuchh bade gharo ke jaye
bade naam ki chadar se
chehre ko rahe chhupaye
auro pe wo dosh lagakar
apne paap chhupaye
usko maan mile jag me
jo beiman ban jaye
us baap ko khabar nahi hain
are aisi nek santaan ki
jai bolo beimaan ki jai bolo
jai bolo beimaan ki jai bolo
are na ijjat ki chinta
na fikar koi apman ki
jai bolo beimaan ki jai bolo
jai bolo beimaan ki jai bolo