Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ek Do Tin Chaar Paanch Naach Mere Man Naach
|
Talat Mehmood | Shivram Krishna | Deewan Sharar, Karan Dewan, Sandhya, Nirupa Roy | |||
Teen Batti Chaar Raasta (1953) | Pyarelal Santoshi | ||||||
ek do tin chaar paanch
naach mere man naach khushi se naach
ek do tin chaar paanch
naach mere man naach khushi se naach
mai samajhaa thaa meri prit ko
mai jaanun yaa wo jaane
ye to ban gai prem kahaani
jisako saari duniyaa jaane
bhayyaa jaane bhaabhi jaane
chaachaa jaane chaachi jaane
maamaa jaane maami jaane
sabase badh kar baabaa jaane baabaa jaane
lekin saanch ko kyaa hai aanch haan
lekin saanch ko kyaa hai aanch
naach mere man naach khushi se naach
ek do tin chaar paanch
naach mere man naach khushi se naach
ye to baat badal gai jaise
raat ke baad saveraa aayaa
meri ujadi phulwaari me
sau sau koi bahaare laayaa
aliyaan laayaa kaliyaan laayaa
titali laayaa khushbu laayaa
ragat laayaa gammat laayaa
sabse badh kar maalan laayaa maalan laayaa
jisko phulo ki hai sab jaanch haan
jisko phulo ki hai sab jaanch
naach mere man naach khushi se naach
ek do tin chaar paanch
naach mere man naach khushi se naach
mere ghar me aaogi tum
ek din ban ke pyaari dulhaniyaa
tumhare charno rakh dungaa
hans ke apni saari duniyaa
chhunar dungaa saadi dungaa
tikali dungaa bunde dungaa
jhumake dungaa jhaanjhar dungaa
sabse badh kar dil ye dungaa dil ye dungaa
dekho tod na denaa jaise kaanch haan
dekho tod na denaa jaise kaanch
naach mere man naach khushi se naach
ek do tin chaar paanch
naach mere man naach khushi se naach
ek do tin chaar paanch