Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ek Bhalu Ki Suno Kahani (Male)
|
Mohammed Aziz | Rajesh Roshan | ||||
Gunah (1993) | Payam Sayeedi | ||||||
ek bhalu ki suno kahani
chod ke jungle sahar me aaya
usne kisi ki bat na mani
kar baitha insa se mohabbat
kra baitha insan se mohabbat
dekho bhalu ki nadani
ek bhalu ki suno kahani
chod ke jungle sahar me aaya
acha uncle phir kya hota hain,
usne socha sahar me aakar
ek sukhi sansar milega
gale lagayenge sab usko
pyar ke badle pyar milega
pyar ki dhun me nachta bhalu
jab aa pahucha insano me
pyar mila pal bhar ko aur phir
pyar mila pal bhar ko aur phir
nafrat payi begano me
aas badi thi insano ne
insano ne kadar na jani
ek bhalu ki suno kahani
chod ke jungle sahar me aaya
insano ke nagar se bhalu
pyar ki bazi har ke lauta
batne sukh aaya tha lekin
dukh leke sansar ke lauta
kahta gaya ro ro ke bhalu
kabhi na sahar me aaunga mai
sunke dur ke dhol suhane
sunke dur ke dhol suhane
ab nahi dhokha khaunga mai
sabse wafa ki aasha rakhna
is dunia me hai nadani
ek bhalu ki suno kahani
chod ke jungle sahar me aaya.